Poems

Mera Moula Madad Meri Karta Hai

mera moula madad meri karta hai
mery daman ko khushiyon sey bharta hai

hai dua mery rab sey hamesha yehi
kaarwan zindagi ka guzarta rahy

laakh dushman bany taiz dhaary magar
mera beera bhanwar sey ubharta rahy

barishain rab ki rahmat ki barsa karain
ghuncha ghuncha chaman ka nikharta rahy

na lagy dushmanon ki kabhi bhi nazar
fehmeeda mera gulshan sanwarta rahy


Bojh Kam Hony Sey Aasaan Aafar Hota Hai

bojh kam hony sey aasaan safar hota hai
katny lagy jaaye to do gaam safar hota hai

rah dushwaar simat jati hai chalty chalty
sang apna jo koi mehev safar hota hai

saari dunya mey phiro saara zamaana dekho
chahey jaisa bhi ho ghar apna hi ghar hota hai

dil pey chha jaayen ghataain jo kabhi bhi ghum ki
sar jhukany ko faqat moula ka dar hota hai

fehmeeda bhooka wo insaan nahi mar sakta jisky hathon mey koi ek hunar hota hai



Mat Chero Maazi Key Qissy Bus Haal Ki 



 Mat Chero Maazi Key Qissy Bus Haal Ki Baatain Batlao mat chhero maazi key qissy bus haal ki baatain batlao kitny taaza zakkham mily hain or bhary kitny ghaao karni to bharni parti hai honi ho kar rehti hai jo uljhan suljhaye na suljhy wo uljhan mat suljhao kabhi andhera kabhi ujala kabhi baharain kabhi khizaan rab ki raza main raazi raho tum apny dil ko samjaho bhaly key badly mily bhalai,na koi behna  na koi bhai jis main khud reh jao phans kar aysa jaal na phelao yoon karty to yoon ho jata yoon karty yoon na hota jo rab chahy wo hota hai mat man main tum pachtao maana key janjaal hai jeena phir bhi jeena parhta hai dor hai lambi jo jeewan ki yoon na is ko uljhao waqt bany ga aap hi marham zakham jigar bhar jaain gey fehmeeda sub zakham chupa lo na dunya ko dikhlao

No comments:

Post a Comment